Hello friends Kya aapka android phone gum ho gya hai? Or aap
usko doondhna bhi chahte honge. Par aap yeh soch rhe honge ki ab aap usko kaise
doondhenge to aap sahi jagah aaye hain aaj main aapko bataunga ki aapka phone
kaise mil sakta hai.
Aaj main aapko woh tarika batunga jo 80% tak successful hai
jisko maine kayi logon se share kiya hai jinse muje jo review mila wo behad
achaa hai.to ab aap bhi apna gum hue phone ko doondh skte hain.
Android device manager se kaise doondhen apna android phone?
2. Usko download karne ke baad aap apne us gmail account se login kare jo aapke android mobile se juda hai jo kho gaya hai.
3. Ab login hone ke baad aapka mobile ki location map mein dikhne lagegi jisse aap apne mobile ko doondh payenge
Android device manager ke kuch features hain jinka use
karke aap apna chori kiya gaya phone dusron ko use karne se rok bhi paaoge ji
han aap apna phone unko use karne se rok bhi paaoge aayiye batata hun kaise....
1. Is app mein aapko ek option milega jisper RING likha hoga usko click karne se aapka phone 5 min tak full volume mein baj uthega.
1. Is app mein aapko ek option milega jisper RING likha hoga usko click karne se aapka phone 5 min tak full volume mein baj uthega.
Agar aapka mobile silent hoga to bhi yeh kaam karega is per
click karne se aapka silent khul jaayega or full volume mein ringtone bajna
shuru ho jayega or agar aapka phone aas-pass
hoga to wo aapko sunai degi
ringtone jisse aap apne gum hue phone ko aasaani se doondh paayenge.
2. Par agar
abhi tak aapka phone nhi mila hai or aap chahte ho ki koi bhi aapka phone use
naa kare to aap ek kaam or kar sakte ho aap usme lock bhi laga sakte ho uske
liye aap lock ke option per click karke aap apni taraf se koi bhi password set
kar sakte hain jisse aapka phone automatically lock ho jayega jisse wo phone
aapke bina koi use nhi kar paayega.
3. Agar jab
aapki umeed khatam ho jaaye ki ab aapka phone nhi mil sakta or uska galat
haathon mein padne se aapka nuksaan ho sakta hai jaise kai log apne mobile mein
net banking use karte hain jisme unke bank account ki saare details hoti
hai,kai log online wallet use karte hain jisse woh DTH,Recharge karte hain. To
agar aap chahte ho ki koi bhi iska use naa kar paaye to aap apne android mobile
ka pura data delete bhi kar sakte ho taaki koi bhi aapki information ka galat
use naa kar paaye iske liye ek option hai erase data us par click karke aap
apna mobile ka galat istemaal hone se bachaa sakte ho.
Jis tarah se android device manager work karta hai usi tarah
se or bhi kai apps hain jo aapke mobile ko chori ya gum hone se bacha sakte hain or
uski location bhi bata sakte hain niche maine unki list de rakhi hai in apps ko
aap google playstore se download kar sakte hain yeh list in apps ki ranking ke
adhar per hai:
1. Lost Android (4.2 stars)
2. Wheres My Droid (4.5 stars)
3. Find My Lost Phone (4.2 stars)
4. Free Lost phone tracker (3.8 stars)
5. GPS Phone Tracker (4.2 stars)
To doston aap in apps ko jaroor try kare or apna review
jaroor den.
To doston aako yeh post kaisi lagi hame comment karke jaroor
bataye agar aap comment naa bhi kar paaye to koi baat nhi par is post ko share
jaroor kare jisse kai logon ki help ho sake.
Agar aapki bhi koi post hai jisko aap share karke logon ki
help kar sake to aap jaroor hame bheje ham usko jaroor post karenge. Post
bhejne ke liye aap rs972005@gmail.com per
contact kare or apna name or photo bhi bheje jisko ham aapki post ke saath
publish karenge. Dhanyawaad( Share jaroor karna friends)
Yeh bhi paden: 1. Facebook Autoliker kyun nhi use karna chahiye??
2. Android phone ko root karne ke kuch best apps
3. Istock se photo bech kar rupay kamane ki puri jankari
4. India me earn talktime se jaldi rupay kamane ki puri jaankari with some special tips
5. HD movies kaise download karen??
2. Android phone ko root karne ke kuch best apps
3. Istock se photo bech kar rupay kamane ki puri jankari
4. India me earn talktime se jaldi rupay kamane ki puri jaankari with some special tips
5. HD movies kaise download karen??
2 comments
Click here for commentsNice Post :)
ReplyThanks bro for visiting our site..
Replyagar apka koi sawal hai to aap comment box me post kar pooch sakte hai main apke sawal ka jawaab jald se jald dene ki koshish karunga ConversionConversion EmoticonEmoticon